Hello friends, aajkal job milna boht difficult ho gya itna tough competition milta hai ese m survival boht difficult ho jata hai. Badhti mehngai mein ghar chalana or ek stable income source hona boht jaruri hota hai.
Esme mein kisi ke under kaam krne se jada better option hai apna khud ka koi bussiness krna jisme apko apki mehnat ke according paise mile.
Aap bi apna koi chota bussiness start krke monthly ₹30,000 से ₹40,000 tak ki income generate kr skte hai.
Aaj jin businesses ka idea hum apko btane vale hai usme special baat ye hai ki en business ko krne k liye apko jada investment ki jarurat bhi ni padegi sahi strategy or hardwork se aap apna bussiness grow kr skte hai or apko profit mil jaega.
Aaj hum apko 5 ese he kuch bussiness ideas k baare m btaege , jinme km investment m shandar profit milega, har month achi income aaegi!
1- Breakfast Bussiness
Breakfast ek basic need hoti hai. Specially un logo ki jo office jate hai or working hai . Agar aap kisi achi location pr apna breakfast stall ya esa koi cart open krte hai to , har din apko ₹1500-₹2500 tak paise milenge . Ess business ko shuru krne ke liye apko jada paiso ki bi jarurat ni hai bas apke pass cooking talent hona chaiye or ₹10,000-₹15,000 lgakar aap koi stall lgakar esko shuru kr skte hai . Agar aap quality or tasty food khilaege to apke customer reviews badhenge or uske sath badhega apka business. Menue m aap poha, upma , idli-sambhar, paratha, bread omelette, chai or coffee jese items bhi sale kr skte hai.
2-Momos Bussiness
Aaj ke time m street food business kaafi demand m hai, or aap agr esi locality m open krte hai jhaa customer aate rhe to apka business kaafi jaldi badhega. Street food business ki baat kr he rhe hai to usme momos kaafi logo ki choice hai . Km investment m jaldi or acha profit ke liye ye bussiness ek acha option hai. Ese start krne k liye apko ₹10,000-₹20,000 tak ki investment krni pdegiii uske baad apke momos ka taste or quality apko khud customers bna k degi or apko acha profit bhi hoga . Start bhale he apka ek chote se stall se ho lekin jse jse apko profit milega aap apna business badha skte hai. Momos bnane k liye apko sirf maida , vegetable, oil , spices,sauces ,steamer ki need hogi .
Aap momos ki different varieties bhi rkh skte hai jse paneer momos , tandoori momos , chicken momos, steam momos, fried momos etc.
Momos youth m kaafi favourite hai agr aap apni stall kisi College, office ya market ke pass open krte hai to apko haar din ₹2000-₹3000 tk ki sales krne ko milegi. Achi quality or taste ki vjh se customers regular aaege or apki advertisement or marketing bhi apke customers he kr denge jisse apko kaafi profit hoga. Apko bs apne taste or quality maintain krni hogi dheere dheere apka business grow krega or aap esse food truck or chota cafe bhi bna skte hai.
3- Tea bussiness
India ek esi country hai jisme har ensaan ki start hoti hai chai k sath. Chai ki baat kre to india m sirf ye ek drink ni ek emotion hai . Log apne day start he chai k sath krte hai. Morning ho , afternoon ho , ya evening chai ki craving hoti he hai. Isliye humari ess list m next number aata hai Tea stall ka ye ek acha idea hai km investment m jada profitable bussiness ka.
Aap esko sirf ₹8,000-₹15,000 investment ke sath start kr skte hai , eske apko ek stall , gass stove, chai patti , milk , cup jse items chahiye hoge. Apne business ko badhane ke liye aap chai sath snacks bhi serve kr skte hai jse biscuits , pakode, poha etc. Inspiration lene k liye apke samne Chai Sutta Bar jse bade brands ke examples bhi hai jinhone chote se business idea se ek bada business bna liye.
Aap apni stall kisi office, market , busstand ya railway station esi kisi location p open krenge to jada sales hogi.
Ek per cup tea ka price ₹10-₹15per cup hota hai , jisse apko ₹2000-₹3000 daily income milegi. Aap time or smart approach ke sath apna bussiness badha sakte hai or stall se ek shop or cafe bhi open kr skte hai.
4- Panipuri Business
Panipuri( Golgappe) street food m sabse popular or purana idea hai. Ess business m apke customer har age group k hote hai . Ess bussiness ko aap km investment m start kr skte hai, or profit bhi badhiya hoga.
Start m apko ₹10,000-₹15,000 tak ki investment krni pdegiii. Esme apko Panipuri, masale , aalu, besan , plates , chutney , dahi or ek stall ye sb items chaiye hote hai. Kisi college, school , market area m apki stall kaafi sales kregi kr daily k 200-300 plates ki sales hogi.
Agar aap ek plate ka price ₹20-₹30 rkhte hai to din m apko ₹4000-₹5000 tak ki sales ho jaegi. Ess business m aap innovation krke bhi sales badha skte hai jse Panipuri m aalag aalag flavours k pani , yaa panipuri k sath tikki , chat papdi , dahi puri , sev puri ,bhel puri jse items bhi menue m add kr skte hai!
5- Home-made delivery food
Agar aap ek ache cook hai or cooking apka passion bhi hai too kisi bdi opportunity ka wait kyu krna . Aap apna khud ka home-made food delivery ka bussiness start kr skte hai ye business idea apke liye ek acha option hoga . Aaj ke time m log apni jobs ki vjh se ghar se bhar PG ya rent p rehte hai esme m ek acha taste or quality food milna boht difficult hota hai. Ese m aap unke liye ek best choice ban skte hai.
Ess business ko start krne k liye apko koi jada badi investment nhi chaiye aap choti investment se bhi start kr skte ho. Aap apne ghar ki kitchen se he esko start kr skte hai. Shuruwat m apko apne contacts ke through kuch customers ko tiffin services deni pdegi dheere dheere apke customers ban jaege or apka bussiness start ho jaega .
Agar pricing ki baat kre to agr aap ek tiffin ka price ₹80-₹150 tak rkhte hai to apko agr daily ke 20-30 order bhii milte hai to aap monthly ₹40,000 tak ki sales kr skte hai. Jse jse customers badhenge apki sales bhi badhegi or aap ek chote business se ek bda food business bhi bna skte hai.
Agar aap khud ka bussiness start krna chahte hai to ye 5 business ideas apke liye ek achi or beneficial opportunity hoge jhaa apko km investment m jada profitable bussiness krne ko mil skta hai. Achi apne hardwork or achi business strategy kri to aap apne chote business ko ek bde business m bdal skte hai or monthly ₹30,000 से ₹40,000 tak ki income generate kr skte hai